Wednesday, March 09, 2011

Nahin darta hoon main

Came to me in the train today:

Tujhe parayi baahon mein dekhne ki aadat ho gayi,
Ab teri bewafaai se nahin darta hoon main.

Khud ke saamne meri duniya lutne ki aadat ho gayi.
Ab aisi tabahi se nahin darta hoon main.

Kamrein mein bandh, tadapke rone ki aadat ho gayi,
Ab meri tanhai se nahin darta hoon main.

Yaadon ke sahare zindagi guzarne ki aadat ho gayi,
Ab hamari judaai se nahin darta hoon main.

1 comment:

Usman said...

sirjeeeeeeee wah ji wah kya baaat haii.....tussii shayar ho gaye ho......wah wah wah.....kya likha hai ji