Thursday, October 27, 2011

Itna kaam mat karo

This shayari came to me last Saturday evening in a spur when I wanted to have dinner with my friends, but everyone seemed to be working. This shayari is dedicated to them. :)

Itna kaam mat karo, thak jaoge,
Roz roz ek hi cheez kar ke pak jaoge,
Aakhir kitna kama loge aap,
Sab kuch idhar hi toh rakh jaoge.

Kuch karna hai, toh sapne ko saraho,
Kuch naya karne ke apne darr ko harao,
Aur aisi aam bhaag-daud ko chhod,
Apne kadam apni khwahishon ki taraf badhao.

Phir dekhiye,

Aap ke liye mahal khade honge,
Sanaaton mein chal-pahal bhare honge,
Aur zindagi ke iss khoobsurat bagh mein,
Aap,
Haaton mein kamyabi liye,
Aaramse tehal rahe honge.

:)