Wednesday, March 09, 2011

Ladho, badho, ab na daro

I thought I had to top up the last one with something more positive:

Lado, badho, ab na daro,
Apni zindagi ke saath kuch toh karo.

Tere yeh jo armaan hai, jo asha hai,
Usse mat samjho ke bas tamasha hai,
Tere kismat mein nahin nirasha hai,
Kyunki bhagwan ne khud tumhe tarasha hai.

Toh tum lado, badho, ab na daro,
Apni zindagi ke saath tum kuch toh karo.

Yeh joh sikandar the, woh bhi fakir the,
Unn ko bhi bandhe rakhe kayi lakeer the,
Par unhone kismat badli karke tabdeer hai,                
(tabdeer = hard work)
Aur kamayi duniya mein aise hi tauqir hai.                  
(tauqir = respect, honor)

Toh tum bhi lado, badho, ab na daro,
Apni zindagi ke saath kuch toh karo.

Aur phir kamyabi ki dastaan tum bhi sunaoge,
Azroo ki neev pe khada haseen mahal sajaoge.
Khushiyon aur matlab bhari ek zindagi banaoge,
Aur apne soche hue saare laskhya tum paaoge.

Par sirf tab, jab...
Tum ladoge, badhoge, ab na daroge,
Apni zindagi ke saath, kuch karoge!

No comments: